Monday, May 14, 2012

Dil, akhir tu kyun rota hain?

Jab jab dard ka badal chaya.. Jab ghum ka saaya lehraya
Jab aansu palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Hum ne dil ko yeh samjhaya, Dil akhir tu kyun rota hain?
Duniya mein yuhi hota hain-

Yeh jo gehrein sannate hain.. Waqt ne sab ko hi baate hain
Thoda ghum hain sabka kissa
thodi dhup hain sakba hissa
Aankh teri bekar hi namm hain,
Har pal ek naya mausam hain -
Kyun tu aise pal khota hain - Dil, akhir tu kyun rota hain?